us ko.n haasil kyo.n ke hoye jag me.n faraaG-e-zindagii
us ko.n haasil kyo.n ke hoye jag me.n faraaG-e-zindagii
gardash-e-iflaak hai jis ko.n ayaaG-e-zindagii
ai aziizaan sair-e-gulshan hai gul-e-daaG-e-aalam
sohabat-e-ahabaab hai maanii me.n baaG-e-zindagii
lab hai.n tere fil_haqiiqat chashma-e-aab-e-hayaat
Khizr-e-Khat ne us so.n paayaa hai suraaG-e-zindagii
jab so.n dekhaa nain nazar_bhar kaakul-e-mushkin-e-yaar
tab so.n jio.n sambhale pareshaan hai dimaaG-e-zindagii
aasmaa.N merii nazar me.n kubaa-e-taarik hai
gar na dekhuu.N tujhako.n ae chashm-o-chiraaG-e-zindagii
laalaa-e-khunin kaffin ke haal so.n zaahir huaa
bastagii hai khaal so.n Khubaa.N ke daaG-e-zindagii
kyo.n na hove ai "Wali" roshan shab-e-qadar-e-hayaat
hai nigaah-e-garam-e-gul ruaa.N chiraaG-e-zindagii
|