dil vaalo kyaa dekh rahe ho in raaho.n me.n
Razi Tirmazi
dil vaalo kyaa dekh rahe ho in raaho.n me.n
hadd-e-nazar tak ye viiraanii saath chalegii
[hadd-e-nazar=as far as the eye can see]
sannaaTe phir shamaa.N ke aa.Nsuu chaaT rahe hai.n
ye bastii to uja.D ga_ii hai ab na basegii
ghar ke a.ndar saare ja.ngal kaa sannaaTaa
shaam hu_ii to ja.ngal me.n havaa chalegii
[sannaaTaa=silence]
jin ke haatho.n dil kii tauhiin hu_ii hai
un ke liye bhii ye duniyaa aisii na rahegii
[tauhiin=insult]
"Razi" miyaa.N tum shaam se kaise chup baiThe ho
kuchh to bolo aisii chup se baat ba.Dhegii