aaj kisii ne baato.n baato.n me.n, jab un kaa naam liyaa
Ghulam Rabbani Taabaa
aaj kisii ne baato.n baato.n me.n, jab un kaa naam liyaa
dil ne jaise Thokar khaa_ii, dard ne ba.Dakar thaam liyaa
ghar se daaman jha.D ke nikale, vahashat kaa saamaan na puuchh
yaanii gard-e-raah se hamane, raKht-e-safar kaa kaam liyaa
[vahashat=fear/anxiety; gard-e-raah=dirt of the street; raKht-e-safar=things needed on a journey]
diivaaro.n ke saaye-saaye, umr bitaa_ii diivaane
muft me.n tanaasaani-e-Gam kaa apane par ilzaam liyaa
[tanaasaani-e-Gam=to carry the burden of sorrow]
raah-e-talab me.n chalate chalate, thank ke jab ham chuur huye
zulf kii Tha.nDii chaa.Nv me.n baiThe, pal do pal aaraam liyaa
[raah-e-talab=path of desire/want]
ho.nTh jale.n yaa siinaa sulage, ko_ii taras kab khaataa hai
jaam usii kaa jisane 'TabaaN', jur'at se kuchh kaam liyaa
[jur'at=boldness]