aur ko_ii dam kii hai mehamaa.N guzar jaayegii raat
aur ko_ii dam kii hai mehamaa.N guzar jaayegii raat
Dhalate Dhalate aap apanii maut mar jaayegii raat
[ko_ii = (kuchh) = some/few]
zindagii me.n aur bhii kuchh zahar bhar jaayegii raat
ab agar Thaharii rag-o-pai me.n utar jaayegii raat
hai ufaq se ek sang-e-aafataab aane kii der
TuuT kar maanind-e-aa_iinaa bikhar jaayegii raat
[ufaq = horizon; sang = stone; aafataab = Sun]
[maanind = like/similar to]
ham to jaane kab se hai.n aavaaraa-e-zulmat magar
tum Thahar jaao to pal bhar me.n guzar jaayegii raat
[zulmat = darkness]
raat kaa anjaam bhii maaluum hai mujh ko 'Suroor'
laakh apanii had se guzare taa-sahar jaayegii raat
[anjaam = result; taa-sahar = till morning]
|