zamii.n pe chal na sakaa aasmaan se bhii gayaa
zamii.n pe chal na sakaa aasmaan se bhii gayaa
kaTaa ke par ko parindaa uDaan se bhii gayaa
tabaah kar ga_ii pakke makaan kii Khvaahish
mai.n apane gaao.N ke kachche makaan se bhii gayaa
paraa_ii aag me.n Khud kyaa milaa tujh ko
use bachaa na sakaa apanii jaan se bhii gayaa
bhulaanaa chaah to bhulaane kii intehaa kar dii
vo shaKhs ab mere vahm-o-gumaan se bhii gayaa
kisii ke haath kaa nikalaa huaa vo tiir huu.N mai.n
hadaf ko chhuu a sakaa aur kamaan se bhii gayaa
Contributed by Sameer Kabir
|