bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa
Mirza Ghalib
bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.N honaa
[dushwaar=difficult; mayassar=possible]
kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
haaye us zod_pashemaa.N kaa pashemaa.N honaa
[zod=quickly; pashemaa.N=ashamed/embarrassed]
haif us chaar girah kapa.De kii qismat 'Ghalib'
jis kii qismat me.n ho aashiq kaa garebaa.N honaa
[haif=alas!; girah=one sixteenth of a yard; garebaa.N=collar]
|