ye teraa ghar ye meraa ghar kisii ko dekhanaa ho agar
Javed Akhtar
ye teraa ghar ye meraa ghar kisii ko dekhanaa ho agar
to pahale aake maa.Ng merii nazar terii nazar
ye ghar bahut hasiin hai
na baadalo.n kii chaa.Nv me.n na chaa.Ndanii ke gaa.Nv me.n
na phuul jaise raaste bane hai.nis ke vaaste
magar ye ghar ajiib hai zamiin ke qariibhai
ye ii.NT pattharo.n kaa ghar hamaarii hasarato.n kaa ghar
jo chaa.Ndanii nahii.n to kyaa ye roshanii hai pyaar kii
dilo.n ke phuul khil gaye to fikr kyaa bahaar kii
hamaare ghar naa aayegii kabhii Khushii udhaar kii
hamaarii raahato.n kaa ghar hamaarii chaahato.n kaa ghar
yahaa.N mahak vafaao.n kii hai qah-qaho.n ka ara.ng hai
ye ghar tumhaaraa Khvaab hai ye ghar merii uma.ng hai
na aarazuu pe qaid hai na hausale par ja.ng hai
hamaare hausale kaa ghar hamaarii himmato.n kaa ghar
|