ab to ghabaraa ke ye kahate hai.n ke mar jaaye.nge
Zauq
ab to ghabaraa ke ye kahate hai.n ke mar jaaye.nge
mar ke bhii chain na paayaa to kidhar jaaye.nge
ham nahii.n vo jo kare.n Khuun kaa daavaa tujh par
balki puuchhegaa Khudaa bhii to mukar jaaye.nge
aag dozaKh kii bhii ho jaayegii paanii paanii
jab ye aasii arq-e-sharm se tar jaaye.nge
[dozakh=hell; aasii=sinner; arq=sweat]
laaye jo mast hai.n turbat pe gulaabii aa.Nkhe.n
aur agar kuchh nahii.n, do phuul to ghar jaaye.nge
|