vo firaaq aur vo visaal kahaa.N
Mirza Ghalib
vo firaaq aur vo visaal kahaa.N
vo shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaa.N
thii vo ik shaKhs ke tasavvur se
ab vo raa.Nnaaii-e-Khayaal kahaa.N
[tasavvur=imagination, raa.Nnaaii-e-Khayaal=tender thoughts]
aisaa aasaa.N nahii.n lahuu ronaa
dil me.n taaqat jigar me.n haal kahaa.N
[haal=spiritual ecstasy]
fikr-e-duniyaa me.n sar khapaataa huu.N
mai.n kahaa.N aur ye vabaal kahaa.N
[vabaal=calamity]
|