qaasid ke aate aate Khat ik aur likh rakhuu.N
Mirza Ghalib
qaasid ke aate aate Khat ik aur likh rakhuu.N
mai.n jaanataa huu.N jo vo likhe.nge jawaab me.n
[qaasid=messenger ]
kab se huu.N kyaa bataauu.N jahaa.N-e-Kharaab me.n
shab haaye hijr ko bhii rakhuu.N gar hisaab me.n
[jahaa.N-e-Kharaab=world of problems, shab=night, hijr=separation]
mujh tak kab un kii bazm me.n aataa thaa daur-e-jaam
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab me.n
[bazm=meeting, saaqii=bar-tender ]
taa phir na intazaar me.n nii.nd aaye umr bhar
aane kaa ahad kar gaye aaye jo Khwaab me.n
[taa=so that, ahad=promise ]
'Ghalib' chuTii sharaab, par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.N roz-e-abr-o-shab-e-maahataab me.n
[abr=clouds, roz-e-abr=cloudy day, maahataab=moon ]
|