mai.n royaa pardes me.n bhiigaa maa.N kaa pyaar
Nida Fazli
mai.n royaa pardes me.n bhiigaa maa.N kaa pyaar
dukh ne dukh se baat kii bin chiTThii bin taar
chooTaa kar ke dekhiye jiivan kaa vistaar
aa.Nkho.n bhar aakaash hai, baaho.n bhar sa.nsaar
chale the tan ke naath ko ghuume.n bastii naath
har chaadar ke ghere se baahar nikale paa.Nv
sab kii puujaa ek sii, alag alag har riit
masjiid jaaye maulavii, koyal gaay giit
puujaa ghar me.n muurtii, miiraa ke sa.ng shyaam
jisakii jitanii chaahatii, utane us ke naam
nadiyaa.N sii.nche khet ko, totaa kutare aam
suuraj deke taar saa sab ko baa.NT ke khaaye
saato.n din bhagavaan ke kyaa ma.ngal kyaa piir
jis din soye der tak bhuukaa rahe fakiir
achchhii sa.ngat baiTh kar sa.ngii badal jaaye.N
jaise mil kar aam se moTii ho ga_ii dhuup
sapanaa jharanaa luuT kar jaagii aadhii pyaas
paanaa khonaa khojanaa saa.Nso.n kaa itihaas
chaahe giitaa baa.Nchiye yaa pa.Diye quraan
meraa teraa pyaar hii har pustak aa gyaan
|