ek brahmaNn ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai
Sabir Dutt
ek brahmaNn ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai
zulm kii raat bahut jald Talegii ab to
aag chuulho.n me.n har ik roz jalegii ab to
bhuuk ke maare ko_ii bachchaa nahii.n royegaa
chain kii nii.nd har ik shaKhs yahaa.N soyegaa
aa.Ndhii nafarat kii chalegii na kahii.n ab ke baras
pyaar kii fasal ugaa_egii zamii.n ab ke baras
hai yahii.n ab na ko_ii shor-sharaabaa hogaa
zulm hogaa na kahii.n Khuun-kharaabaa hogaa
os aur dhuup ke sadame.n na sahegaa ko_ii
ab mere desh me.n beghar na rahegaa ko_ii
naye vaado.n kaa jo Daalaa hai vo jaal achchhaa hai
rahanumaao.n ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai
dil ke Khush rakhane ko Ghalib ye Khayaal achchhaa hai
|