javaanii ke hiile hayaa ke bahaane ye maanaa ke tum mujhase pardaa karogii
Prem Warbartoni
javaanii ke hiile hayaa ke bahaane ye maanaa ke tum mujhase pardaa karogii
ye duniyaa magar tujh sii bholii nahii.n hai chhupaake muhabbat ko rusvaa karogii
ba.Dii koshisho.n se ba.Dii Khvaahisho.n se tamannaa ke sahamii huii saazisho.n se
milegaa jo maukaa to bechain hokar dariicho.n se tum mujhako dekhaa karogii
sataayegii jab chaa.Ndanii kii udaasii dukhaayegii dil jab fizaa kii Khamoshii
ufaq kii tarah Khaalii nazare.n jamaakar kabhii jo na sochaa vo sochaa karogii
kabhii dil kii dha.Dakan mahasuus hogii kabhii tha.nDii saa.Nso.n kii tuufaa.N uThegii
kabhii gir ke bistar pe aahe.n bharogii kabhii jhuk ke takiye pe royaa karogii
|