uzr aane me.n bhii hai aur bulaate bhii nahii.n
Daag Dehlvi
uzr aane me.n bhii hai aur bulaate bhii nahii.n
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhii nahii.n
[uzr = hesitate; bais = reason]
[tark-e-mulaaqat = give up/terminate acquaintanceship]
Khuub pardaa hai ke chilaman se lage baiThe hai.n
saaf chhupate bhii nahii.n saamane aate bhii nahii.n
ho chukaa qata ta'lluq to jafaaye.n kyo.n ho.n
jin ko matalab nahii.n rahataa vo sataate bhii nahii.n
ziist se tang ho ai "Daag" to jiite kyo.n ho
jaan pyaarii bhii nahii.n jaan se jaate bhii nahii.n
|