suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
Aga Hashr
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
vo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii
[suu-e-maikadaa = towards the bar/place for drinking]
go havaa-e-gulsitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii
vo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii
ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulsitaa.N muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii
[muattar = full of itr(perfume)]
ye khule khule se gesuu inhe.n laakh tuu sa.Nvaare
mere haath se sa.Nvarate to kuchh aur baat hotii
go haram ke raaste se vo pahu.Nch gaye Khudaa tak
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii
|