jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai
Yahya Jasdanwala
jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai
aa.Nkho.n se ashk hai ravaa.N jaa.N bhii beqaraar hai
hone ko fasl-e-gul bhii hai daavat-e-aish hai magar
apanii bahaar kaa mujhe aaj bhii intazaar hai
saare sahaare ishq ke TuuT chuke hai.n hijr me.n
ek tumhaarii yaad bas dard kii Gam-gusaar hai
ahad-e-vafaa kaa aap ke lutf-o-karam kaa aap ke
aur kisii ko ho na ho mujh ko aitabaar hai
luT ga_ii Gam kii aabaruu luT chukii dil kii aarazuu
"Yahya" nigaah-e-lutf kaa phir bhii ummiid-vaar hai
|