Khush huu.n ke meraa husn-e-talab kaam to aayaa
Shakeel Badayuni
Khush huu.n ke meraa husn-e-talab kaam to aayaa
Khalii hii sahii merii taraf jaam to aayaa
[talab = pursuit]
kaafii hai mere dil kii tasallii ko yahii baat
aap aa na sake aap kaa paiGaam to aayaa
apano.n ne nazar pherii to dil ne to diyaa saath
duniyaa me.n ko_ii dost mere kaam to aayaa
vo subah kaa ehasaas ho yaa merii kashish ho
Duubaa hua Khurshiid sar-e-baam to aayaa
[baam = morning]
log un se ye kahate hai.n ke kitane hai.n 'Shakeel' aap
is husn ke sadaqe me.n meraa naam to aayaa
|