dil hii to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuu.N
Mirza Ghalib
dil hii to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuu.N
roye.nge ham hazaar baar ko_ii hame.n sataaye kyuu.N
dair nahii.n haram nahii.n dar nahii.n aastaa.N nahii.n
baiThe hai.n rah_guzar pe ham Gair hame.n uThaaye kyuu.N
[dair = temple; haram = mosque; aastaa.n = door; rah_guzar = street]
qaid-e-hayaat-o-band-e-Gam asl me.n dono ek hai.n
maut se pahale aadamii Gam se nijaat paaye kyuu.N
[qaid-e-hayaat = prison of life; band-e-Gam = chain of sorrow; nijaat = freedom]
'Ghalib'-e-Khastaa ke baGair kaun se kaam band hai.n
royiye zaar zaar kyaa kiijiye haaye haaye kyuu.N
|