aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
Mirza Ghalib
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
aashiqii sabr talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak
ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak
[taGaaful = neglect]
Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
shamaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak
[juz = other than; marg = death; sahar = dawn]
|