yaar ko raGbat-e-aGyaar naa hone paaye
Shibali
yaar ko raGbat-e-aGyaar naa hone paaye
gul-e-tar ko havaz-e-Khaar naa hone paaye
[raGbat=liking/desire; aGyaar=rivals (actually, it is plural for 'Gair')]
[gul-e-tar=dew-drenched (fresh) flower; havaz-e-Khaar=(fall) prey to a thorn]
baaG kii sair ko jaate to ho par yaad rahe
sabzaa begaanaa hai do-chaar naa hone paaye
[baaG=garden; sair=stroll in/visit; sabzaa=flora/greenery;
do-chaar honaa=to get close to]
jamaa kar liijiye Gamzo.n ko magar Khuubii-e-bazm
bas vahii.n tak hai ke baazaar naa hone paaye
[Khuubii-e-bazm=beauty of (this) gathering]
aap jaate to hai.n is bazm me.n lekin "Shibli"
haal-e-dil dekhiye izhaar naa hone paaye