Home | Index of Poets Sahir Ludhianvi

kisii ko udaas dekh kar


tumhe.n udaas saa paataa huu.N mai.n kaa_ii din se 
naa jaane kaun se sadame uThaa rahii ho tum 
vo shoKhiyaa.N, vo tabassum, vo kah_kahe na rahe 
har ek chiiz ko hasrat se dekhatii ho tum 
chhupaa chhupaa ke Khamoshii me.n apanii bechainii 
Khud apane raaz kii taashiir ban gaii ho tum 

merii ummiid agar miT gaii to miTane do 
ummiid kyaa hai bas ek paas-o-pesh hai kuchh bhii nahii.n 
merii hayaat kii Gam_Giii.nio.n kaa Gam na karo 
Gam hayaat-e-Gam yak naqs hai kuchh bhii nahii.n 
tum apane husn kii raanaaiio.n par raham karo 
vafaa fareb tul havas hai kuchh bhii nahii.n 

mujhe tumhaare taGaaful se kyuu.n shikaayat ho 
merii fanaa meer ehasaas kaa taqaazaa hai 
main jaanataa huu.N ke duniyaa kaa Khauf hai tum ko 
mujhe Khabar hai ye duniyaa ajiib duniyaa hai 
yahaa.N hayaat ke parde me.n maut chalatii hai 
shikast saaz kii aawaaz me.n ruu naGmaa hai 

mujhe tumhaarii judaaii kaa koii ra.nj nahii.n 
mere Khayaal kii duniyaa me.n mere paas ho tum 
ye tum ne Thiik kaha hai tumhe.n milaa na karuu.N 
magar mujhe bataa do ki kyuu.N udaas ho tum 
hafaa na ho merii jurrat-e-taKhtab par 
tumhe.n Khabar hai merii zi.ndagii kii aas ho tum 

meraa to kuchh bhii nahii.n hai mai.n ro ke jii luu.Ngaa 
magar Khudaa ke liye tum asiir-e-Gam na raho 
huaa hii kyaa jo zamaane ne tum ko chhiin liyaa 
yahaa.N par kaun huaa hai kisii kaa socho to 
mujhe qasam hai merii dukh bharii jawaanii kii 
mai.n Khush huu.N merii mohabbat ke phuul Thukaraa do 

mai.n apanii ruuh kii har ek Khushii miTaa luu.Ngaa 
magar tumhaarii masarrat miTaa nahii.n sakataa 
mai.n Khuud ko maut ke haatho.n me.n sau.Np sakataa huu.N 
magar ye bar-e-musaaib uThaa nahii.n sakataa 
tumhaare Gam ke sivaa aur bhii to Gam hai.n mujhe 
nijaat jin se mai.n ek lahaza paa nahii.n sakataa 

ye uu.Nche uu.Nche makaano.n kii deva.Diiyo.n ke tale 
har kaam pe bhuuke bhikaariiyo.n kii sadaa 
har ek ghar me.n aflaas aur bhuuk kaa shor 
har ek simt ye insaaniyat kii aah-o-bukaa 
ye karaKhaano.n me.n lohe kaa shor-o-gul jis me.n 
hai dafn laakho.n Gariibo.n kii ruuh kaa naGmaa 

ye sharaho.n pe ra.ngiin saa.Diio.n kii jhalak 
ye jho.Npa.Diyo.n me.n Gariibo.n ke be-kafan laashe.n 
ye maal road pe karo.n kii rail pail kaa shor 
ye paTariyo.n pe Gariibo.n ke zard_ruu bachtche 
galii galii me.n bikate hue javaa.N chehare 
hasiin aa.Nkho.n me.n afsurdagii sii chhaii huii 

ye jang aur ye mere vatan ke shoKh javaa.N 
khariidii jaatii hai.n uThatii javaaniyaa.N jinakii 
ye baat baat pe kanuun aur zabte kii giraft 
ye ziisq ye Gulaamii ye daur-e-majabuurii 
ye Gam hai.n bahot merii zi.ndagii miTaane ko 
udaas rah ke mere dil ko aur ranj na do 

Home | Index of Poets Sahir Ludhianvi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001