raqs karane kaa milaa hukm jo dariyaao.n me.n
raqs karane kaa milaa hukm jo dariyaao.n me.n
ham ne Khush hoke bha.Nvar baa.Ndh liye paon me.n
[raqs = dance; bha.Nvar = whirlpool]
un ko bhii hai kisii bhiige hue manzar kii talaash
buu.Nd tak bo na sake jo kabhii saharaao.n me.n
[manzar = scene; talaash = search; bo = sow; saharaa = desert]
ai mere ham-safaro.n tum bhii thaake-haare ho
dhuup kii tum to milaavaT na karo chaao.n me.n
jo bhii aataa hai bataataa hai nayaa ko_ii ilaaj
baT na jaaye teraa biimaar masiihaao.n me.n
hausalaa kis me.n hai yusuf kii Khariidaarii kaa
ab to maha.ngaa_ii ke charche hai zulaiKhaao.n me.n
[hausalaa = strength]
Moderator's note:
References to Yusuf and Zulaikha can be
found in various ghazals and nazms. Yusuf (Joseph), son of
Yaqub (Jacob) was a very handsome man. He was sold in
market of Egypt where he was bought by Zulaikha. Zulaikha
married him after her husband died.
jis barahaman ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai
us ko dafnaao mere haath kii rekhaao.n me.n
Moderator's note:
The first misra (line) is obviously a reference to Ghalib's
"ik barhamin ne kahaa hai ki ye saal achchhaa hai"
vo Khudaa hai kisii TuuTe hue dil me.n hogaa
masjido.n me.n use Dhuu.NDho na kaliisaao.n me.n
[kaliisaa = church]
ham ko aapas me.n muhabbat nahii.n karane dete
ik yahii aib hai is shahar ke daanaao.n me.n
[aib = fault; daanaa = wise men]
mujh se karate hai.n "Qateel" is liye kuch log hasad
kyo.n mere sher hai.n maqabuul hasiinaao.n me.n
[hasad = envy/jealousy; maqabuul = accepted (popular)]
|