tumhaare shahar kaa mausam ba.Daa suhaanaa lage
tumhaare shahar kaa mausam ba.Daa suhaanaa lage
mai.n ek shaam churaa luu.N agar buraa na lage
tumhaare bas me.n agar ho to bhuul jaao hame.n
tumhe.n bhuulane me.n shaayad mujhe zamaanaa lage
hamaare pyaar se jalane lagii hai ye duniyaa
duaa karo kisii dushman ki bad_duaa na lage
na jaane kyaa hai us kii bebaak aa.Nkho.n me.n
vo muu.Nh chhupaa ke jaaye bhii to bevafaa lage
jo Duubanaa hai to itane sukuun se Duubo
ke aas paas kii laharo.n ko bhii pataa na lage
ho jis adaa se mere saath bevafaa_ii kar
ke tere baad mujhe ko_ii bevafaa na lage
vo phuul jo mere daaman se ho gaye mansuub
Khudaa kare unhe.n baazaar kii havaa na lage
tum aa.Nkh muund ke pii jaao zindagii 'Qaiser'
ke ek ghuu.NT me.n shaayad ye bad_mazaa na lage
Contributed by Fayaz Razvi
|