kariyaa-e-jaa.N me.n ko_ii phuul khilaane aaye
kariyaa-e-jaa.N me.n ko_ii phuul khilaane aaye
vo mere dil pe nayaa zaKhm lagaane aaye
mere viiraan dariicho.n me.n bhii Khushbuu jaage
vo mere ghar ke dar-o-baam sajaane aaye
us se ik baar to ruuthuu.N mai.n usii kii maanind
aur merii tarah se vo mujh ko manaane aaye
isii kuuche me.n ka_ii us ke shanaasaa bhii to hai.n
vo kisii aur se milane ke bahaane aaye
ab na puuchhuu.Ngii mai.n khoye hue Khvaabo.n kaa pataa
vo agar aaye to kuchh bhii na bataane aaye
zabt kii shahar-panaaho.n kii mere maalik Khair
Gam kaa sailaab agar mujh ko bahaane aaye
Contributed by Anuja Kochar Singh
|