Home | Index of Poets Parveen Shakir

apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.N


apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.N 
ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.N 

niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.N 
aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.N 

shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii 
bhuulanevaale mai.n kab tak teraa rastaa dekhuu.N 

sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.N 
ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.N 

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah 
ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.N 

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib 
jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.N 

mai.n ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar 
Khvaab ban kar terii aa.Nkho.n me.n utarataa dekhuu.N 

tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat 
jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.N 

Contributed by Umang Bali

Home | Index of Poets Parveen Shakir
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 25th May, 2001