justajuu khoye huo.n kii umr bhar karate rahe
justajuu khoye huo.n kii umr bhar karate rahe
chaa.Nd ke ham_raah ham har shab safar karate rahe
raasto.n kaa ilm thaa ham ko na simto.n kii Khabar
shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karate rahe
ham ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar se
tere jaane kii Khabar dar-o-divaar karate rahe
vo na aayegaa hame.n maaluum thaa us shaam bhii
intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe
aaj aayaa hai hame.n bhii un u.Daano.n kaa Khayaal
jin ko tere zaum me.n be-baal-o-par karate rahe
|