kisii kalii ne bhii dekhaa na aa.Nkh bhar ke mujhe
kisii kalii ne bhii dekhaa na aa.Nkh bhar ke mujhe
guzar ga_ii jaras-e-gul udaas kar ke mujhe
mai.n so rahaa thaa kisii yaad ke shabistaa.N me.n
jagaa ke chho.D gaye qaafile sahar ke mujhe
mai.n ro rahaa thaa muqaddar kii saKht raaho.n me.n
u.Daa ke le gayaa jaaduu terii nazar kaa mujhe
mai.n terii dard kii tuGiyaaniyo.n me.n Duub gayaa
pukaarate rahe taare ubhar ubhar ke mujhe
tere firaaq kii raate.n kabhii na bhuule.ngii
maze mile inhii.n raato.n me.n umr bhar ke mujhe
zaraa sii der Thaharane de ai Gam-e-duniyaa
bulaa rahaa hai ko_ii baam se utar ke mujhe
phir aaj aa_ii thii ik mauj-e-havaa-e-tarab
sunaa ga_ii hai fasaane idhar-udhar ke mujhe
|