iid ul fitr
hai aabido.n ko ta'at-o-tajariid kii Khushii
aur zaahido.n ko zuhad kii tamahiid kii Khushii
ri.nd aashiqo.n ko hai ka_ii ummiid kii Khushii
kuchh dil-baro.n ke val kii kuchh diid kii Khushii
[aabid=devotee; ta'at=devotion; tajariid=solitude]
[zaahid=preacher; zuhad kii tamaheed=start of religious talk]
aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii
pichhale pahar se uTh ke nahaane kii dhuum hai
shiir-o-shakar sivayyaa.N pakaane kii dhuum hai
piir-o-javaan ko nema'te.n khaane kii dhuum hai
la.Dako ko iid-gaah ke jaane kii dhuum hai
[piir=old; nema't=bounty]
aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii
ko_ii to mast phirataa hai jaam-e-sharab se
ko_ii pukarataa hai ke chhuuTe azaab se
kallaa kisii kaa phuulaa hai laDDuu kii chaab se
chaTakaare.n jii me.n bharate hai.n naan-o-kabaab se
[azaab=agony; kallaa=cheek]
aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii
kyaa hi muaanqe kii machii hai ulaT palaT
milate hai.n dau.D dau.D ke baaham jhapaT jhapaT
phirate hai.n dil-baro.n ke bhii galiyo.n me.n Gat ke Gat
aashiq maze u.Daate hai.n har dam lipaT lipaT
[muaaniq=embrace; GaT=crowd]
aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii
kaajal hinaa Gazab masii-o-paan kii dha.Dii
pishavaaze.n surKh sausanii laahii kii phul-jha.Dii
kurtii kabhii dikhaa kabhii angiyaa kasii ka.Dii
kah "iid iid" luuTen hai.n dil ko gha.dii gha.Dii
[pishwaaz=ladies' skirt]
aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii
roze kii Khushkiyo.n se jo hai.n zard zard gaal
Khush ho gaye vo dekhate hii iid kaa hilaal
poshaake.n tan me.n zard, sunaharii safed laal
dil kyaa ke ha.Ns rahaa hai pa.Daa tan ka baal baal
[roze=fastings; hilaal=crescent moon of Eid; poshaak=clothes]
aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii
jo jo ke un ke husn kii rakhate hai.n dil se chaah
jaate hai.n un ke saath taa baa-iid-gaah
topo.n ke shor aur dogaano.n kii rasm-o-raah
mayaane, khilone, sair, maze, aish, vaah-vaah
aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii
aisii na shab-e-baraat na baqriid kii Khushii
jaisii har ek dil me.n hai is iid kii Khushii
rozo.n kii saKhtiyo.n me.n na hote agar amiir
to aisii iid kii na Khushii hotii dil-paziir
sab shaad hai.n gadaa se lagaa shaah taa vaziir
dekhaa jo ham ne Khuub to sach hai miyaa.N "Nazeer"
|