sar-e-mahashar yahii puuchhuu.Ngaa Khudaa se pahale
sar-e-mahashar yahii puuchhuu.Ngaa Khudaa se pahale
tuune rokaa bhii thaa mujarim ky Khataa se pahale
ashk aa.Nkho.n me.n hai.n hoTho.n pe bukaa se pahale
qaafilaa Gam kaa chalaa baa.ng-e-daraa se pahale
u.D gayaa jaise yakaayak mere shaano.n par se
vo jo ik bojh thaa tasliim-e-Khataa se pahale
haa.N yahaa.N dil jo kisii kaa hai ab aa_iinaa-e-husn
varq-e-saadaa thaa ulfat kii ziyaa se pahale
ibtidaa hii se na de ziist mujhe dars us kaa
aur bhii baab to hai.n baab-e-razaa se pahale
mai.n giraa Khaak pe lekin kabhii tum ne sochaa
mujh pe kyaa biit ga_ii laGzish-e-paa se pahale
ashk aate to the lekin ye chamak aur ta.Dap
un me.n kab thii Gam-e-ulfat kii ziyaa se pahale
dar-e-mayaKhaanaa se aatii hai sadaa-e-saaqii
aaj seraab kiye jaaye.Nge pyaase pahale
raaz-e-mayanoshii-e-"Mullah" huaa afshaa.N varnaa
samajhaa jaataa thaa valii laGzish-e-paa se pahale
|