jism apanaa hai ko_ii aur na saayaa apanaa
jism apanaa hai ko_ii aur na saayaa apanaa
jaane is ziist me.n hai kaun saa rishtaa apanaa
[ziist = life]
tuune kis mo.D pe chho.Daa thaa mujhe umr-e-ravaa.N
tak rahaa huu.N ka_ii sadiyo.n se mai.n rastaa apanaa
[umr-e-ravaa.N = past life]
ham rahe bhii to badalate hue mausam kii tarah
terii aa.Nkho.n me.n ko_ii aks na Thaharaa apanaa
[aks = reflection]
ik teraa Gam thaa ba_har_rang jo shaadaab rahaa
is shajar ne giraayaa ko_ii pattaa apanaa
[ba_har_rang = in every colour; shaadaab = green (fresh)]
[shajar = tree;
kitane asanaam taraashe hai.n terii suurat ke
jhaa.Nk kar dekh zaraa mujh se saraapaa apanaa
[asanaam = plural of 'sanam' (idol); saraapaa = head to toe]
|