Thaanii thii dil me.n ab na mile.nge kisii se ham
Momin Khan Momin
Thaanii thii dil me.n ab na mile.nge kisii se ham
par kyaa kare ke ho gaye naachaar jii se ham
[Thaananaa=to firmly decide; naachaar=helpless]
ham se na bolo tum ise kyaa kahate hai.n bhalaa
insaaf kiije puuchhate hai.n aap hii se ham
kyaa gul khilegaa dekhiye hai fasl-e-gul to duur
aur suu-e-dasht bhaagate hai.n kuchh abhii se ham
[suu-e-dasht=towards wilderness/in the direction of the desert]
kyaa dil ko le gayaa ko_ii begaanaa aashnaa
kyuu.N apane jii ko lagate hai.n kuchh ajanabii se ham