us simt mujh ko yaar ne jaane nahii.n diyaa
Munir Niazi
us simt mujh ko yaar ne jaane nahii.n diyaa
ek aur shahar-e-yaar me.n aane nahii.n diyaa
kuchh aur vaqt chaahate the ki soche.n tere liye
tuune vo vaqt ham ko zamaane nahii.n diyaa
ma.nzil hai is mahak kii kahaa.N kis chaman me.n hai
is kaa pataa safar me.n havaa ne nahii.n diyaa
rokaa anaa ne kaavish-e-besud se mujhe
us but ko apanaa haal sunaane nahii.n diyaa
hai jis ke baad ahad-e-zavaal-aashnaa "Munir"
itanaa kamaal ham ko Khudaa ne nahii.n diyaa