Meg Index |
September 2003 Index
Date: 19-Sep-2003 Poet: Ali Sardar Jafri mai.n jahaa.N tum ko bulaataa huu.N vahaa.N tak aao merii nazaro.n se guzar kar dil-o-jaa.N tak aao phir ye dekho ki zamaane kii havaa hai kaisii saath mere mere firdaus-e-javaa.N tak aao teG kii tarah chalo chho.D ke aaGosh-e-niyaam tiir kii tarah se aaGosh-e-kamaa.N tak aao phuul ke gird phiro baaG me.n maanind-e-nasiim misl-e-paravaanaa kisii sham-e-tapaa.N tak aao lo vo sadiyo.n ke jahannum kii hade.n Khatm hu_ii ab hai firdaus hii firdaus jahaa.N tak aao chho.D kar vaham-o-gumaa.N husn-e-yaqii.n tak pahu.Ncho par yaqii.n se bhii kabhii vaham-o-gumaa.N tak aao