Meg Index |
September 2003 Index
Date: 12-Sep-2003 Poet: Himayat Ali Shayar raat sun_saan dasht-o-dar Khaamosh chaa.Nd sitaare shajar hajar Khaamosh [shajar = tree; hajar = stone] ko_ii aavaaz-e-paa na baang-e-jaras kaaravaa.N aur is qadar Khaamosh [baang-e-jaras = sound of the caravan bell] har taraf ek muhiib sannaaTaa dil dha.Dakataa to hai magar Khaamosh huye jaate hai.n kis liye aaKhir ham_safar baat baat par Khaamosh hai.n ye aadaab-e-rah_guzar ke Khauf raah_rau chup hai.n raahabar Khaamosh muKhtasar ho na ho shab-e-taariik ham ko jalanaa hai raat bhar Khaamosh jaane kyaa baat kar rahe the ki ham ho gaye ek naam par Khaamosh