Meg Index |
September 2003 Index
Date: 09-Sep-2003 Poet: Malikzada Manzoor Ahmad itr ki uud ki ambar ki saman kii Khushbuu sab se bahatar hai magar us ke badan kii Khushbuu [itr = perfume/fragrance; uud = incense; saman = chameli ka phuul] ko_ii mausam ho havaa leke chalii aatii hai duur pardes me.n bhii Khaak-e-vatan kii Khushbuu chand lamhaat me.n kar detii hai subahe.n raushan naat ki hamd ki puujaa ki bhajan kii Khushbuu [lamhaat = moments] ab to rah rah ke jalii laasho.n kii buu aatii hai pahale aisii to na thii mere chaman kii Khushbuu is ke har lafz me.n sau phuulo.n kii shaamil hai mahak shaayarii apanii hai urduu ke dahan kii Khushbuu [dahan = mouth] jab kabhii gor-e-Gariibaa.N se guzar meraa huaa mujh ko mahasuus hu_ii apane kafan kii Khushbuu [gor = grave] chaa.Ndanii raat fizaa sard havaa ke jho.nke haaye vo TuuTate jismo.n kii thakan kii Khushbuu us ne jab merii taraf Gaur se dekhaa "Manzoor" bazm me.n phailii raqiibaanaa jalan kii Khushbuu [raqiib = rival]