Meg Index |
January 2003 Index
Date: 17-Jan-2003 Poet: Majaz barbaad tamannaa pe ataab aur zyaadaa haa.N merii mohabbat kaa javaab aur zyaadaa [ataab = anger] roye na abhii ahal-e-nazar haal pe mere honaa hai abhii mujh ko Kharaab aur zyaadaa aavaaraa-va-majanuu.N hii pe mauquuf nahii.n kuchh milane hai.n abhii mujh ko Khitaab aur zyaadaa [mauquuf = stop/cease; Khitaab = title] uThe.nge abhii aur bhii tuufaa.N mere dil se dekhuu.Ngaa abhii ishq ke Khvaab aur zyaadaa Tapakegaa lahuu aur mere diidaa-e-tar se dha.Dakegaa dil-e-Khaanaa_Kharaab aur zyaadaa [lahuu = blood; diidaa-e-tar = wet eyes] [dil-e-Khaanaa_Kharaab = wretched heart] ai mutrib-e-bebaak ko_ii aur bhii naGmaa ai saaqii-e-fayyaaz sharaab aur zyaadaa [mutrib = singer; fayyaaz = openhearted/generous]