Mehfil-e-Gazal #841

Meg Index | January 2003 Index



Date: 7-Jan-2003
Poet: Bekal Utsahi 

udaas kaaGazii mausam me.n rang-o-buu rakh de
har ek phuul ke lab pe meraa lahuu rakh de

[rang-o-buu = colour and smell]

zabaan-e-gul se chaTTaane.n taraashane vaale
sukuut-e-naqsh me.n aaraa_ish-e-namuu rakh de

giraa.N lage hai jo ehasaan dast-e-qaatil kaa
uTh aur teG ke lab pe rag-e-guluu rakh de

[giraa.N = heavy; dast-e-qaatil = hands of a murderer]
[teG = sword; rag-e-guluu = neck's main nerve/vein]

chalaa hai jaanib-e-maiKhaanaa aaj phir vaa_iz
kahii.n na jaam pe lab apane bevazuu rakh de

[jaanib = towards; vaa_iz = preacher]

Khudaa kare meraa munsif sazaa sunaane me.n 
meraa hii sar mere qaatil ke ruu-ba-ruu rakh de

samandaro.n ne bulaayaa hai tujh ko ai 'Bekal'
tuu apanii pyaas kii saharaa me.n aabaruu rakh de

[saharaa = wilderness]


Meg Index | January 2003 Index