Meg Index |
January 2003 Index
Date: 3-Jan-2003 Poet: Bashir Badr Wishing you and your loved ones a very happy new year. May the times ahead bring peace, prosperity and good cheer to all. We are back, hopefully to stay. All I can say about the long absence is: duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa tujh se bhii dil_fareb hai.n Gam roz_gaar ke And now for today's ghazal: vo thakaa huaa merii baaho.n me.n zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa abhii mai.n ne dekhaa hai chaa.Nd bhii kisii shaaKh-e-gul pe jhukaa huaa jise le ga_ii hai abhii havaa vo varaq thaa dil kii kitaab kaa kahii.n aa.Nsuo.n se miTaa huaa kahii.n aa.Nsuo.n se likhaa huaa [varaq = page] ka_ii miil ret ko kaaT kar ko_ii mauj phuul khilaa ga_ii ko_ii pe.D pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas kha.Daa huaa [mauj = wave] vahii Khat ke jis pe jagah jagah do mahakate ho.nTho.n ke chaa.Nd the kisii bhuule-bisare se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa huaa [taaq = shelf; tah-e-gard = under the dust] vahiii shahar hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii magar us dariiche se puuchhanaa vo daraKht anaar kaa kyaa huaa [dariichaa = window; daraKht = tree] mere saath juganuu hai ham_safar magar is sharar kii bisaat kyaa ye charaaG ko_ii charaaG hai na jalaa huaa na bujhaa huaa [sharar = spark/ember; bisaat = capacity/worthiness]