Mehfil-e-Gazal #839

Meg Index | June 2002 Index



Date: 27-Aug-2002
Poet: Shakeel Badayuni


Another ghazal by Shakeel Badayuni. I have always 
liked Shakeel's poetry and this ghazal is a gem. 
There is an inherent musical quality in his ghazals 
that makes them particularly suited for singing.

His most famous ghazal is probably 'ai mohabbat tere 
anjaam pe ronaa aayaa' immortalized by Begum Akhtar.

On to today's ghazal...


merii zindagii pe na muskaraa mujhe zindagii kaa alam nahii.n
jise tere Gam se ho vaastaa vo Khizaa.N bahaar se kam nahii.n

meraa kufr haasil-e-zuud hai meraa zuud haasil-e-kufr hai
merii bandagii vo hai bandagii jo rahiin-e-dair-o-haram nahii.n

mujhe raas aaye Khudaa kare yahii ishtibaah kii saa_ate.n
unhe.n aitabaar-e-vafaa to hai mujhe aitabaar-e-sitam nahii.n

vahii kaaravaa.N vahii raaste vahii zindagii vahii marahale
magar apane-apane muqaam par kabhii tum nahii.n kabhii ham nahii.n

na vo shaan-e-jabr-e-shabaab hai na vo rang-e-qahar-e-itaab hai
dil-e-beqaraar pe in dino.n hai sitam yahii ki sitam nahii.n

na fanaa merii na baqaa merii mujhe ai 'Shakeel' na Dhuu.NDiye
mai.n kisii kaa husn-e-Khayaal huu.N meraa kuchh vujuud-e-adam nahii.n


Meg Index | June 2002 Index