Mehfil-e-Gazal #836
Meg Index |
June 2002 Index
Date: 16-Aug-2002
Poet: Gulzar
saa.Ns lenaa bhii kaisii aadat hai
jiiye jaanaa bhii kyaa ravaayat hai
ko_ii aahaT nahii.n badan me.n kahii.n
ko_ii saayaa nahii.n hai aa.Nkho.n me.n
paa.Nv behis hai.n, chalate jaate hai.n
ik safar hai jo bahataa rahataa hai
kitane baraso.n se, kitanii sadiyo.n se
jiye jaate hai.n, jiye jaate hai.n
aadate.n bhii ajiib hotii hai.n
-----------------------------------------------------------
Moderator's Note:
Gulzar often uses (or should I say re-uses) parts of his
poetry in the film songs he pens. For example, take the
line "ko_ii aahaT nahii.n badan me.n kahii.n". This line
can be found in the song "surma_ii shaam is tarah aaye"
from the film "Lekin" sung by Suresh Wadkar.
Meg Index |
June 2002 Index