Meg Index |
February 2002 Index
Date: 26-Feb-2002 Poet: Shan ul Haq Haqi bhulaa do ranj kii baato.n me.n kyaa hai idhar dekho merii aa.Nkho.n me.n kyaa hai bahut taariik din hai phir bhii dekho ujaalaa chaa.Ndanii raato.n me.n kyaa hai [taariik - dark] nahii.n paatii.n jise bedaar nazare.n Khudaayaa ye mere Khvaabo.n me.n kyaa hai [bedaar - sleepless/wakeful] ye kyaa Dhuu.NDhe chale jaatii hai duniyaa tamaashaa-saa galii-kuucho.n me.n kyaa hai hai vahashat-sii ye har chehare pe kaisii na jaane saham-saa nazaro.n me.n kyaa hai [vahashat = fear] ye ik haijaan-saa dariyaa me.n kyo.n hai ye kuchh saamaan-saa maujo.n me.n kyaa hai [haijaan = disturbance; saamaan = arrangement] zaraa-saa bal hai ik zulfo.n kaa us kii vagarnaa zor zanjiiro.n me.n kyaa hai hai.n Khamyaaze suruur-e-aarazuu ke nishaat-o-Gam kaho naamo.n me.n kyaa hai [Khamyaaze = result; suruur-e-aarazuu = intoxication of desire] [nishaat-o-Gam = happiness and sorrow] tumhaarii der-aamezii bhii dekhii takalluf lakhanau vaalo.n me.n kyaa hai [der-aamezii = late (for a) meeting; takalluf = formality]