Mehfil-e-Gazal #783

Meg Index | February 2002 Index



Date: 12-Feb-2002
Poet: Shakeb Jalali

jaatii hai dhuup ujale paro.n ko sameT ke
zaKhmo.n ko ab ginuu.Ngaa mai.n bistar pe leT ke

[par = wing]

mai.n haath kii lakiire.n miTaane pe huu.N ba-zid
go jaanataa huu.N naqsh nahii.n ye sleT ke

[ba-zid = determined/firm on (my) decision; sleT = slate]

duniyaa ko kuchh Khabar nahii.n kyaa haadasaa huaa
phe.Nkaa thaa us ne sang gulo.n me.n lapeT ke

[haadasaa = accident; sang = stone]

phavvaare kii tarah na ugal de har ek baat
kam kam vo bolate hai.n jo gahare hai.n peT ke

[phavvaaraa = fountain]

ik naqara_ii khanak ke sivaa kyaa milaa 'Shakeb'
Tuka.De ye mujh se kahate hai.n TuuTii pleT ke

[naqaraa_ii = silver like; khanak = tinkle/sound]


Meg Index | February 2002 Index