Meg Index |
February 2002 Index
Date: 01-Feb-2002 Poet: Fehmida Riyaz aivaan-e-adaalat me.n patharaa_ii hu_ii aa.Nkhe.n patharaaye hue chehare patharaa_ii hu_ii saa.Nse.n chama.De kii zubaano.n par patharaa_ii hu_ii baate.n [aivaan = house/palace] fariyaad kaTaghare me.n ro ro ke ta.Dapatii thii qaanuun ke rakhavaale kal le ke gaye jis ko ab us ko yahaa.N laaye.n vo naash to dikhalaaye.n [fariyaad = plea; naash = dead body] patharaaye hue chehare ek dam ko_ii dil dha.Dakaa sholaa-saa kahii.n bha.Dakaa jab tak ki ko_ii samajhe lo phuut bahe dhaare aavaaze.n mile baaham aur guu.Nj uThe naare maasuum-sii jaano.n ke betaab javaano.n ke kyaa shor lahuu kaa thaa kyaa guu.Nj thii naaro.n me.n aivaan-e-adaalat me.n patharaaye hue kamare dam rok ke sunate the jab surKh salaam aayaa maqatuul kaa naam aayaa ghuu.Nsaa-saa lagaa dil par aa.Nkho.n se lahuu phuuTaa jiite raho dil vaalo patthar to ko_ii TuuTaa [maqatuul = the murder victim]