Meg Index |
November 2001 Index
Date: 27-Dec-2001 Poet: Imtiyaz Sagar hai.n ghar kii muhaafiz merii dahakii hu_ii aa.Nkhe.n mai.n taaq me.n rakh aayaa huu.N jalatii hu_ii aa.Nkhe.n [muhaafiz = protector; taaq = shelf] ik pal bhii kisii mo.D pe rukane nahii.n detii.n kaa.NTo.n kii tarah jism me.n chubhatii hu_ii aa.Nkhe.n raste me.n qadam phuu.Nk ke rakhanaa mere pyaaro hai.n chaaro.n taraf shahar me.n bikharii hu_ii aa.Nkhe.n yuu.N us ke bichha.D jaane pe aa.Nsuu na bahaao manzar ko taras jaaye.ngii bhiigii hu_ii aa.Nkhe.n [manzar = view] qaatil ke sivaa ko_ii samajh hii nahii.n sakataa kyaa dekhatii hai.n tasht me.n rakkhii hu_ii aa.Nkhe.n [tasht = plate] kyaa jaaniye kis Khvaab kii taabiir me.n gum hai.n zulfo.n kii ghanii chaa.Nv me.n ulajhii hu_ii aa.Nkhe.n 'Sagar' shab-e-tiiraa me.n ujaalo.n kii amii.n hai.n nafrat ke samundar me.n ye bahatii hu_ii aa.Nkhe.n [shab-e-tiiraa = dark night; amii.n = trustworthy]