Meg Index |
November 2001 Index
Date: 26-Dec-2001 Poet: Iftikhar Arif Khvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai aisii tanhaa_ii ki mar jaane ko jii chaahataa hai ghar kii vahashat se larazataa huu.N magar jaane kyo.n shaam hotii hai to ghar jaane ko jii chaahataa hai Duub jaa_uu.N to ko_ii mauj nishaa.N tak na bataaye aisii nadii me.n utar jaane ko jii chaahataa hai kabhii mil jaaye to raste kii thakan jaag pa.De aisii manzil se guzar jaane ko jii chaahataa hai vahii paimaa.N jo kabhii jiii ko Khush aayaa thaa bahut usii paimaa.N se mukar jaane ko jii chaahataa hai [paimaa.N = promise]