Meg Index |
November 2001 Index
Date: 03-Dec-2001 Poet: Sagar Nizami kaafir gesuu vaalo.n kii raat basar yuu.N hotii hai husn hifaazat karataa hai aur javaanii sotii hai mujh me.n tujh me.n farq nahii.n mujh me.n farq hai ye tuu duniyaa par ha.Nsataa hai duniyaa mujh par ha.Nsatii hai sabr-o-sukuu.N do dariyaa hai.n bharate bharate bharate hai.n taskiin dil kii baarish hai hote hote hotii hai jiine me.n kyaa raahat thii marane me.n takliif hai kyaa tab duniyaa kyo.n ha.Nsatii thii ab duniyaa kyo.n rotii hai dil ko to tashKhiish hu_ii chaaraagaro.n se puuchhuu.Ngaa dil jab dhak-dhak karataa hai vo haalat kyaa hotii hai raat ke aa.Nsuu ai 'Sagar' phuulo.n se bhar jaate hai.n subah-e-chaman is paanii se kaliyo.n kaa muu.Nh dhotii hai