Mehfil-e-Gazal #761

Meg Index | November 2001 Index



Date: 12-Nov-2001
Poet: Ibne Insha

jog bijog kii baate.n jhuuThii sab jii kaa bahalaanaa ho
phir bhii ham se jaate jaate ek Gazal sun jaanaa ho

saarii duniyaa aql kii bairii kaun yahaa.N par sayaanaa ho
naahaq naam dhare.n sab ham ko diivaanaa diivaanaa ho

tum ne to ik riit banaa lii sun lenaa sharmaanaa ho
sab kaa ek na ek Thikaanaa apanaa kaun Thikaanaa ho

nagarii nagarii laakho.n dvaare har dvaare par laakh sukhii
lekin jab ham bhuul chuke hai.n daaman kaa phailaanaa ho

tere ye kyaa jii me.n aa_ii khii.nch liye sharmaa kar ho.nT
ham ko zahar pilaane vaalii amrit bhii pilavaanaa ho

ham bhii jhuuThe tum bhii jhuuThe ek isii kaa sachchaa naam
jis se diipak jalanaa siikhaa paravaanaa mar jaanaa ho

siidhe man ko aan daboche miiThii baate.n sundar log
'Meer', 'Nazeer', 'Kabir' aur 'Insha' sab kaa ek gharaanaa ho


Meg Index | November 2001 Index