Meg Index |
November 2001 Index
Date: 07-Nov-2001 Poet: Iftikhar Arif zaraa sii der ko aaye the Khvaab aa.Nkho.n me.n phir us ke baad musal_sal azaab aa.Nkho.n me.n [musal_sal=continuous; azaab=trouble] vo jis ke naam kii nisbat se raushan thaa vujuud khaTak rahaa hai vahii aaftaab aa.Nkho.n me.n [nisbat=relation] jinhe.n mataa-e-dil-o-jaa.N samajh rahe the ham vo aa_iine bhii hue behijaab aa.Nkho.n me.n ajab tarah kaa hai mausam ke Khaak u.Datii hai vo din bhii the ke khile the gulaab aa.Nkho.n me.n mere Gazaal terii vahashato.n kii Khair ki hai bahut dino.n se bahut iztaraab aa.Nkho.n me.n na jaane kaisii qayaamat kaa pesh_Khemaa hai ye uljhane terii be-intasaab aa.Nkho.n me.n [pesh_Khemaa=ominous sign]