Meg Index |
October 2001 Index
Date: 29-Oct-2001 Poet: Andleeb Shadani ko_ii adaa_shanaas-e-muhabbat hame.n bataaye jo ham ko bhuul jaaye vo kyo.n ham ko yaad aaye kis kii majaal thii ki hijaab-e-nazar uThaaye vo muskuraa ke aap hii dil ke qariib aaye ik dil_nashii.n nigaah me.n allaah ye Khalish nashtar kii nok jaise kaleje me.n TuuT jaaye kuchh ham se beKhudii me.n hu_ii behijaabiyaa.N chashm_kazanii sitaaro.n ne kii phuul muskuraaye vo jaan-e-aarazuu ke hai saramaayaa-e-nishaat kyo.n us kii yaad Gam kii ghaTaa ban ke dil pe chhaaye tum to hamii.n ko kahate the ye tum ko kyaa huaa dekho ka.Nval ke phuul se shabanam chhalak na jaaye ik naatamaam Khvaab mukammal na ho sakaa aane ko zindagii me.n bahut inqalaab aaye