Meg Index |
October 2001 Index
Date: 18-Oct-2001 Poet: Ali Sardar Jafri meraa safar phir ek din aisaa aayegaa aa.Nkho.n ke diye bujh jaaye.nge haatho.n ke ka.Nval kumhalaaye.nge aur barg-e-zabaa.N se nataq-va-sadaa kii har titalii u.D jaayegii ik kaale samandar kii tah me.n kaliyo.n kii tarah se khilatii hu_ii phuulo.n kii tarah se ha.Nsatii hu_ii saarii shakle.n kho jaaye.ngii Khuun kii gardish dil kii dha.Dakan sab rangiiniyaa.N so jaaye.ngii aur niilii fazaa kii maKhmal par ha.Nsatii hu_ii hiire kii ye kaanii ye merii jannat merii zamii.n is kii subahe.n is kii shaame.n bejaane hue besamajhe hue ik musht Gubaar-e-insaa.N par shabanam kii ro jaaye.ngii har chiiz bhulaa dii jaayegii yaado.n ke hasii.n but_Khaane se har chiiz uThaa dii jaayegii phir ko_ii nahii.n ye puuchhegaa 'sardar' kahaa.N hai mahafil me.n lekin mai.n yahaa.N phir aa_uu.Ngaa bachcho.n ke dahan se boluu.Ngaa chi.Diyo.n kii zabaa.N se gaa_uu.Ngaa jab biij ha.Nse.nge dharatii me.n aur ko.npale.n apanii u.Ngalii se miTTii kii taho.n ko chhe.De.ngii mai.n pattii pattii kalii kalii apanii aa.Nkhe.n phir kholuu.Ngaa sar sabz hathelii par lekar shabanam ke qatre tuluu.Ngaa mai.n rang-e-henaa aahang-e-Gazal andaaz-e-suKhan ban jaa_uu.Ngaa ruKhsaar-e-uruus-e-nau kii tarah har aa.Nchal se chhan jaa_uu.Ngaa jaa.Do.n kii havaaye.n daaman me.n jab fasal-e-Khazaa.N ko laaye.ngii rahruu ke javaa.N qadamo.n ke tale suukhe hue patto.n se mere ha.Nsane kii sadaaye.n aaye.ngii dharatii kii sunaharii sab nadiyaa.N aakaash kii niilii sab jhiile.n hastii se merii bhar jaaye.ngii aur saaraa zamaanaa dekhegaa har qissaa meraa afsaanaa hai har aashiq hai saradaar yahaa.N har maashuuqaa sultaanaa hai mai.n ek gurezaa.N lamhaa huu.N ayyaam ke afsuu.N_khaane me.n mai.n ek ta.Dapataa qatraa huu.N masaruuf-e-safar jo rahataa hai maazii kii suraahii ke dil se mustaqbil ke paimaane me.n mai.n sotaa huu.N aur jaagataa huu.N aur jaag ke phir so jaataa huu.N sadiyo.n kaa puraanaa khel huu.N mai.n mai.n mar ke amar ho jaataa huu.N